Monday, August 16, 2010

A cute love story(2 best frnds and 2 bros's stories)part2

To chalo Soniya ,ab tum job k lie waqai tayar ho jao.us nae mirror main khud ko deekhte howe kaha.phar wardrobe open kar k apne lie kapre pasand karne lagi.Mahi ki bachi tuje to main deekh loun gi.khah kar to esse gai hai jase main nae is ki barat k saath jana hai.phone kar k khahti hai k esse tyar ho kar mat aana jase tyar ho kar mere gar aati ho,ab main tumhare gar aaon gi to kahna,job main tumhare khane par karne ja rahi houn.muje phanswa kar ,ittne aaram sae hukam naame jari kiye ja rahain hain,,wha wha,,Soniya khud sae baatain karte howe tyar b hoti ja rahi the.tyar ho kar aakhari tankidi nazar khud par dali,aur chadar lae kar niche aa gai.jahan par Bibi aur Mahi breakfast kar rahi the.us ko deekhte hi Mahi k mathe par bal aur salwate par gai.magar woh mu sae kuch nain boli ,use pata to chal gaya tha k woh us ki chadar ko deekh kar bora mani hai,kaal sae 4 martaba phone kar k use chadar laene sae mana b kar chuki the woh.pura pura convence  karne ki koshish ki k job k duran woh rupata use kiya kare gi,
magar ab use deekh kar ab Mahi ko b yaqeen ho gaya tha k Soniya nae us ki baato par kaan nain dare hain.
Aur Soniya dil hi dil main such rahi the k fashion ka matlab yeh to nain k jo bewaqufiyain dosare kar rahe hain woh aap b karain.woh b fashion karti the,magar saadagi ki had main rah kar hi.
Soniya aur Mahi nae apna breakfast khamoshi sae kiya.Mahi nae use apne peche aane ka issara kia aur bahar nikal gai. Bibi nae use rukne ka issara kia aur mu hi mu main na jane kia kuch par kar us par daam karne lagi.Dum kar wa kar woh muskarate howe bahar nikal aai.Mahi gari main us ka hi intazar kar rahi the.
"Soniya tume kia lagta hai k jo larkiyain ya ortain chadarain nain layti  woh  saref  nain hoti hain?"Mahi nae gari ko road par late howe pucha.
"nain essi koi baat nain hai,magar muje khud acha nain lagta.ab tumhare kahne par main chadar to uttarne sae rahi ak dum sae"
"aur deekho to sahi kitni new fashionable si shaal hai."Soniya nae wazahat daete howe kaha.aur saath hi us chadar noma shaal ki quality b batani chahi.
"main nae to is lie kaha tha k rupate main tum ko aasani rahe gi.chadar lena aur use sambalna bohat muskil ho jae ga tumhare lie."Mahi nae wazahat ki.
"liekin muje is k baghar acha nain lage ga na,essa lage ga jase sab log muje hi deekh rahe hain"
"Acha kia sab log ittne fazol beethe hain ya tumhare ristedar hain k apne tamam kaam chor kar tume deekhe gae mur mur kar"
Mahi nae nae muskarate howe pucha.
"Aare chadar sae yaad aaya yeh tum muje kaal phone par kia kha rahi the k eesay hi mat taiyar ho jana,kia matlab tha is ka?zara muu edar karo main toroun."
ab ki bar Soniya nae gusae main waqai hamla karne ki taiyari ki.
"O Larki hosh k nakhon lo,,accident karwao gi kia?"
Mahi nae us k tewar deekhte howe kaha.magar Soniya k kaan par joon taq na reengi.us nae ak muka us ke bazo main dae mara.Mahi tilmala kar rah gai.aur gari thori si dag maga gai.
"Gari roko"
karak dar aawaz aai.
"lagta hai koi hume gari rokne k lie kah raha hai"
Soniya nae Mahi sae kaha.
"g haan .aur awaz tumhari taraf sae hi aa rahi hai,zara muje choro aur odar deekho"
Mahi nae Soniya sae kaha.
joon hi Soniya nae gardan gumai us ka opar ka saans upar aur niche ka niche rah gaya.
un k saath saath Police ki gari aa rahi thi.aur koi Police wala unne gari rukne k lie kah raha tha.
Police wala kafi guse sae gari rukne k lie kah raha tha.
"Gari ruko warna agge  aakar gari rukwa lain gae."
Police wale nae kaha.
,,,magar is taraf Soniya ki halat kharab ho rahi the,Mahi nae jab Soniya k muu ka urra howa rang deekha to pahle to use samj hi nain aaya k kia howa hai.magar joon hi us ki nazar police ki gari par pari to use tamam baat samj aa gai.aur us nae dil hi dil main aane wale waqat ka tasawor kia.(Mahi janti thi k Soniya Police walo sae kitna darti hai)aur saath saath suchne lagi k un sae kia galti howi hai k police piche par gai,zaror gari galat chalie hai(is waja sae gar walo sae kafi dafa daant b gha chuki the)ak dam hi Soniya nae chala kar kaha.
"Bago Mahi agar pakre gae to yeh log(police wale)hume b mar daen gae"khuf aur dehshat sae Soniya ki aawaz kanp rahi the.
Soniya ka ittna kahna tha k Mahi nae ak dam gari ki speed barha di.suba ka waqat tha .bohat jald hi woh appni gari ko garion ko garion k saalab main gum karne main kamyab ho gai.
Mahi ko jab yaqeen ho gaya k woh dono mahfoz hain.aur police ki gari un ki gari k aas pass nain hai to,us nae ak shop k pass gari rook kar wahain sae cold drink li.ak Soniya ko di aur ak khud pene lagi.magar Soniya to boot ban kar beti the.
"Please Soniya pee lo,deekho darne ki zarorat nain hai.jo hona tha ho chuka hai.deekho parshaan mat ho.main tumhare saath houn na"
Mahi nae Soniya k safed parte muu ko deekh kar kaha.
"chalo na ,jaldi pee lo phar yahan sae chalte hain,deekho tum nae bahadari(braveness) ka wada kiya hai."
Mahi nae zabardusti is ko cold drink palai.aur dil hi dil main gusa b aaya k pahle hi din bala police walon ko kia zarorat the aa kar apni sakal Soniya ko deekhane ki.
kis tarhan ak dum us ka sara joish kharoish khatam ho gaya tha.ab Mahi aaram sae Soniya k relax hone ka intazar karne lagi.
"Chalain???"
Mahi nae us sae pucha ,kyon k ab woh khamoshi sae bahar sae aati jati gariyon ko deekh rahi the.
"Chalo"Soniya nae gardan seat ki back par raakhte howe kaha.
ab woh kafi had taq sambal chuki the.Mahi ko pata tha k ab woh gahri such main hai.is lie us nae use disturb nain kia.aur aaram sae gari drive karne lagi.





No comments:

Post a Comment